اردو हिंदी
Dasht mein raat banate hue Darta hun main | Shaahi Shayari
dasht mein raat banate hue Darta hun main

Ghazal

Dasht mein raat banate hue Darta hun main

Nomaan Shauque

;

dasht mein raat banate hue Darta hun main
apni aawaz bujhate hue Darta hun main

tangi-e-waqt ka matam nahin rukne wala wala
arsa-e-hijr baDhate hue Darta hun main main

dushmanon se wahi karta hai hifazat meri
jis ko aawaz lagate hue Darta hun main

rakh ke Dher pe ye nachte gate hue log
ab yahan phul khilate hue Darta hun main

jit jaenge yahan shor machane wale
gungunate hue gate hue Darta hun main

sab jahangir niyamon se nikal aaenge
ab to zanjir hilate hue Darta hun main