dasht-e-afkar mein sukhe hue phulon se mile
kal teri yaad ke matub rasulon se mile
apni hi zat ke sahra mein sulagte hue log
apni parchhain se Takrae hayyulon se mile
ganw ki samt chali dhup doshaala oDhe
taki baghon mein ThiThurte hoe phulon se mile
kaun uDte hoe rangon ko giraftar kare
kaun aankhon mein utarti hui dhulon se mile
is bhare shahr mein 'nashtar' koi aisa bhi kahan
rose jo sham mein hum jaise fuzulon se mile
Ghazal
Dasht-e-afkar mein sukhe hue phulon se mile
Abdur Rahim Nashtar