اردو हिंदी
Darmiyan gar na tera wada-e-farda hota | Shaahi Shayari
darmiyan gar na tera wada-e-farda hota

Ghazal

Darmiyan gar na tera wada-e-farda hota

Anwar Masood

;

darmiyan gar na tera wada-e-farda hota
kis ko manzur ye zahr-e-gham-e-duniya hota

kya qayamat hai ki ab main bhi nahin wo bhi nahin
dekhna tha to use dur se dekha hota

kasa-e-zaKHm-talab le ke chala hun KHali
sang-reza hi koi aap ne phenka hota

falsafa sar-ba-gareban hai baDi muddat se
kuchh na hota to KHuda jaane ki phir kya hota

hum bhi nau-KHez shuaon ki balaen lete
apne zindan mein agar koi daricha hota

aap ne haal-e-dil-e-zar to puchha lekin
puchhna tha to koi us ka mudawa hota

dast-e-muflis se tahi-tar hai safina 'anwar'
is pahunchne se to sahil pe na pahuncha hota