dariya ho ya pahaD ho Takrana chahiye
jab tak na sans TuTe jiye jaana chahiye
yun to qadam qadam pe hai diwar samne
koi na ho to KHud se ulajh jaana chahiye
jhukti hui nazar ho ki simTa hua badan
har ras-bhari ghaTa ko baras jaana chahiye
chaurahe bagh buildingen sab shahr to nahin
kuchh aise waise logon se yarana chahiye
apni talash apni nazar apna tajraba
rasta ho chahe saf bhaTak jaana chahiye
chup chup makan raste gum-sum niDhaal waqt
is shahr ke liye koi diwana chahiye
bijli ka qumquma na ho kala dhuan to ho
ye bhi agar nahin ho to bujh jaana chahiye
Ghazal
Dariya ho ya pahaD ho Takrana chahiye
Nida Fazli