اردو हिंदी
Dariya guzar gae hain samundar guzar gae | Shaahi Shayari
dariya guzar gae hain samundar guzar gae

Ghazal

Dariya guzar gae hain samundar guzar gae

zafar iqbal zafar

;

dariya guzar gae hain samundar guzar gae
pyasa raha main kitne hi manzar guzar gae

us jaisa dusra na samaya nigah mein
kitne hasin aankhon se paikar guzar gae

kuchh tir mere sine mein paiwast ho gae
kuchh tir mere sine se bahar guzar gae

aansu bayan karne se qasir rahe jinhen
kya kya na zaKHm zat ke andar guzar gae

ek choT dil pe lagti rahi hai tamam shab
dil ki zamin se yaadon ke lashkar guzar gae

wo zabt tha ki aah na nikli zaban se
dil pe hamare kitne hi KHanjar guzar gae

manzil thi wo ki hoti gai dur hi 'zafar'
kitne hi rah mein mil ke patthar guzar gae