dard mein jab kami si hoti hai
dil taDapta hai aankh roti hai
wasl ki raat raat hoti hai
qalb bedar aankh soti hai
samne un ke lab nahin khulte
band goya zaban hoti hai
ek qatra hai un ki mizhgan par
ya koi la-jawab moti hai
bahr-e-ulfat mein kashti-e-dil ko
mauja-e-ummid hi Duboti hai
aankh kahti hai gham ke afsane
ek aisi ghaDi bhi hoti hai
dil mein chuTki si le raha hai kaun
aankh kyun bar bar roti hai
mil ke do qalb jab bichhaDte hain
zindagi zindagi ko roti hai
gham ki rudad puchhne wale
aansuon ki zaban hoti hai
dil jala aasman na jal jae
aah-e-bekas KHarab hoti hai
be-zarurat si guftugu 'shatir'
e'tibar aadmi ka khoti hai

Ghazal
Dard mein jab kami si hoti hai
Shatir Hakeemi