dard ho to dawa kare koi
maut hi ho to kya kare koi
na satae koi unhen shab-e-wasl
un ki baaten suna kare koi
band hota hai ab dar-e-tauba
dar-e-mai-KHana wa kare koi
qabr mein aa ke nind aai hai
na uThae KHuda kare koi
thin ye duniya ki baaten duniya tak
hashr mein kya gila kare koi
na uThi jab jhuki jabin-e-niyaz
kis tarah iltija kare koi
bosa len ghair den saza hum ko
hum hain mujrim KHata kare koi
bigDe gesu to bole jhunjhla kar
na balaen liya kare koi
naza mein kya sitam ka mauqa hai
waqt hai ab dua kare koi
hashr ke din ki raat ho ki na ho
apna wada wafa kare koi
na satae koi kisi ko 'riyaz'
na sitam ka gila kare koi

Ghazal
Dard ho to dawa kare koi
Riyaz Khairabadi