daraKHt-e-jaan par azab-rut thi na barg jage na phul aae
bahaar-wadi se jitne panchhi idhar ko aae malul aae
nashat-e-manzil nahin to un ko koi sa ajr-e-safar hi de do
wo rah-naward-e-rah-e-junun jo pahan ke rahon ki dhul aae
wo sari KHushiyan jo us ne chahin uTha ke jholi mein apni rakh lin
hamare hisse mein uzr aae jawaz aae usul aae
ab aise qisse se faeda kya ki kaun kitna wafa-nigar tha
jab us ki mahfil se aa gae aur sari baaten hi bhul aae
wafa ki nagri luTi to us ke asason ka bhi hisab Thahra
kisi ke hisse mein zaKHm aae kisi ke hisse mein phul aae
ba-nam-e-fasl-e-bahaar 'azar' wo zard patte hi mo'tabar the
jo hans ke rizq-e-KHizan hue hain jo sabz shaKHon pe jhul aae
Ghazal
DaraKHt-e-jaan par azab-rut thi na barg jage na phul aae
Ezaz Ahmad Azar