dar talak jaane ki hai us ke manahi hum ko
apni bas ab nazar aati hai tabahi hum ko
roz jun-tun ki hua sham to phir behtar azab
nazar aai shab-e-hijran ki siyahi hum ko
hum to jaane ka irada nahin karte lekin
wo kamar su-e-adam karti hai rahi hum ko
kyun tere chah-e-zanaKHdan ka na nazzara karen
ji se bhata hai bahut sabza-e-chahi hum ko
dam-e-bar-dosh hi maKHluq kiya KHaliq ne
taqat uDne ki na di jun par-e-mahi hum ko
parda paDta jo nahin us se KHush-andami par
pyara lagta hai tera kurta-e-lahi hum ko
umr bhar sher kahe hum ne pa tu ne ai ishq
na to huzni hi kiya aur na aahi hum ko
'mushafi' ilm-e-lughat se hai jinhen aagahi
jaante hain wo abu-nasr-farahi hum ko
Ghazal
Dar talak jaane ki hai uske manahi hum ko
Mushafi Ghulam Hamdani

