اردو हिंदी
Dar khula subh ko pau phaTte hi mai-KHane ka | Shaahi Shayari
dar khula subh ko pau phaTte hi mai-KHane ka

Ghazal

Dar khula subh ko pau phaTte hi mai-KHane ka

Riyaz Khairabadi

;

dar khula subh ko pau phaTte hi mai-KHane ka
aks suraj hai chhalakte hue paimane ka

husn maujon ka chhalakna bhare paimane ka
raqs pariyon ka hai aalam hai pari-KHane ka

hae zanjir-shikan wo kashish-e-fasl-e-bahaar
aur zindan se nikalna tere diwane ka

sadqe us soz ke jo soz ho us husn ke sath
shoala goya par-e-parwaz hai parwane ka

hon wahan gham hai jahan hasti-e-mauhum meri
dusra nam adam hai mere virane ka

na bayan ho jo mile subh-e-azal sham-e-abad
hashr hai beach ka TukDa mere afsane ka

parda bhi baat bhi jalwa bhi pas-e-daman-e-barq
shoKHiyan hain ki ye andaz hai sharmane ka

baal ke badle nazar aate hain is mein sau chaak
aks aaina-e-dil par bhi paDa shane ka

peT mein KHum ke hai jo kuchh wo bhara hai is mein
munh na khulwa are waiz mere paimane ka

kya tasawwur hi se uTh jate hain parde dil ke
dil bhi kya nam hai un ke kisi kashane ka

rakhti hai aalam-e-nau sorish-e-hangama-e-ishq
hashr ek harf-e-ghalat hai mere afsane ka

aap ke haar ki kaliyon se ye milne ka nahin
dil hai miTTi ka na ghulne ka na murjhane ka

khinchne wali ki jhalak dekhi hai jab se saqi
dekhna munh mujhe angur ke har dane ka

phirti hai hashr ke din aankh ke niche shab-e-wasl
hae andaz wo us zulf ke bal khane ka

sham-e-kaba rahe mahfuz ilahi ta-hashr
nam raushan hai ek ujDe hue but-KHane ka

na hawa thi na meri aah-e-adu the wo the
haal shab ko na khula shama ke bujh jaane ka

log kahte hain ki hai zahid-e-martaz 'riyaz'
rind kahte hain use chor hai mai-KHane ka