Dagmagate kabhi qadmon ko sambhalte dekha
rah-e-ulfat pe magar logon ko chalte dekha
nafraten mil gain masum dilon mein akasr
chahaton ko dil-e-saffak mein palte dekha
hausla tha koi maqsad ya saliqa, us ko
waqt ke tund thapeDon mein sambhalte dekha
jin ko pala tha bahaaron ne jahan bhar ki, unhen
aazmaish ki kaDi dhup mein jalte dekha
be-jhijhak chal na saka dasht-e-wafa mein ab tak
rukte dekha kabhi us shoKH ko chalte dekha
sabza-o-gul pe hawa rakhti hai shabnam lekin
phir hawa ko un hi qatron ko kuchalte dekha
shahar ya shahar se bahar nahin, apne ghar mein
hum ne aqdar-e-zamana ko badalte dekha
aazmaish hai, ijazat hai ki majburi hai
zulm ko hum ne yahan phulte-phalte dekha
aatish-e-ishq se bachiye ki yahan hum ne bhi
mom ki tarah se patthar ko pighalte dekha
apne jazbaat to mashhur the lekin hum ne
the jo hoshyar bahut un ko ubalte dekha
Dal di pairon mein us shaKHs ke zanjir yahan
waqt ne jis ko zamane mein uchhalte dekha
buzla-sanji pe bahut naz tha jin ko apni
hum ne un ko bhi yahan zahr ugalte dekha
roz ye mashriq-o-maghrib ka tamasha kyun hai
ugte dekha hai jise us ko hi Dhalte dekha
aa gaya yaad wo bachpan ka zamana 'KHalid'
jab kahin phul se bachchon ko uchhalte dekha

Ghazal
Dagmagate kabhi qadmon ko sambhalte dekha
Quaiser Khalid