daman-e-qatil jo uD uD kar hawa dene lage
kya bataun zaKHm-e-dil kya kya dua dene lage
wae nakaami kahan saffak ne roka hai hath
zaKHm-ha-e-shauq jab kuchh kuchh maza dene lage
chaarasazo mujh se ruswa jaan-ba-lab bimar ko
zahr dena chahiye tha tum dawa dene lage
yas o hirman aah-e-sozan ashk-e-KHun dagh-e-junun
hazrat-e-ishq aur kya is ke siwa dene lage
aaj ho shayad kisi ko aatish-e-gham ki KHabar
shukr hai ab ustuKHwan bu-e-wafa dene lage
kya muKHalif ho gai hum se zamane ki hawa
'yas' dekho hazrat-e-dil bhi dagha dene lage
Ghazal
Daman-e-qatil jo uD uD kar hawa dene lage
Yagana Changezi