dam-e-KHushbu mein giraftar saba hai kab se
lafz izhaar ki uljhan mein paDa hai kab se
ai kaDi chup ke dar o baam sajaane wale
muntazir koi sar-e-koh-e-nida hai kab se
chand bhi meri tarah husn-shanasa nikla
us ki diwar pe hairan khaDa hai kab se
baat karta hun to lafzon se mahak aati hai
koi anfas ke parde mein chhupa hai kab se
shobada-bazi-e-aina-e-ehsas na puchh
hairat-e-chashm wahi shoKH qaba hai kab se
dekhiye KHun ki barsat kahan hoti hai
shahr par chhai hui surKH ghaTa hai kab se
kor-chashmon ke liye aaina-KHana malum
warna har zarra tera aks-numa hai kab se
khoj mein kis ki bhara shahr laga hai 'amjad'
DhunDti kis ko sar-e-dasht hawa hai kab se
Ghazal
Dam-e-KHushbu mein giraftar saba hai kab se
Amjad Islam Amjad