chupke chupke raat din aansu bahana yaad hai
hum ko ab tak aashiqi ka wo zamana yaad hai
ba-hazaran iztirab o sad-hazaran ishtiyaq
tujh se wo pahle-pahal dil ka lagana yaad hai
bar bar uThna usi jaanib nigah-e-shauq ka
aur tera ghurfe se wo aankhen laDana yaad hai
tujh se kuchh milte hi wo bebak ho jaana mera
aur tera danton mein wo ungli dabana yaad hai
khinch lena wo mera parde ka kona dafatan
aur dupaTTe se tera wo munh chhupana yaad hai
jaan kar sota tujhe wo qasd-e-pa-bosi mera
aur tera Thukra ke sar wo muskurana yaad hai
tujh ko jab tanha kabhi pana to az-rah-e-lihaz
haal-e-dil baaton hi baaton mein jatana yaad hai
jab siwa mere tumhaara koi diwana na tha
sach kaho kuchh tum ko bhi wo kar-KHana yaad hai
ghair ki nazron se bach kar sab ki marzi ke KHilaf
wo tera chori-chhupe raaton ko aana yaad hai
aa gaya gar wasl ki shab bhi kahin zikr-e-firaq
wo tera ro ro ke mujh ko bhi rulana yaad hai
dopahar ki dhup mein mere bulane ke liye
wo tera koThe pe nange panw aana yaad hai
aaj tak nazron mein hai wo sohbat-e-raaz-o-niyaz
apna jaana yaad hai tera bulana yaad hai
miThi miThi chheD kar baaten nirali pyar ki
zikr dushman ka wo baaton mein uDana yaad hai
dekhna mujh ko jo bargashta to sau sau naz se
jab mana lena to phir KHud ruTh jaana yaad hai
chori chori hum se tum aa kar mile the jis jagah
muddaten guzrin par ab tak wo Thikana yaad hai
shauq mein mehndi ke wo be-dast-o-pa hona tera
aur mera wo chheDna wo gudgudana yaad hai
bawajud-e-iddia-e-ittiqa 'hasrat' mujhe
aaj tak ahd-e-hawas ka wo fasana yaad hai
Ghazal
Chupke chupke raat din aansu bahana yaad hai
Hasrat Mohani