اردو हिंदी
Chup rahun kaise main barbaad-e-jahan hone tak | Shaahi Shayari
chup rahun kaise main barbaad-e-jahan hone tak

Ghazal

Chup rahun kaise main barbaad-e-jahan hone tak

Yunus Ghazi

;

chup rahun kaise main barbaad-e-jahan hone tak
raaz ko raaz hi rakhna hai baiyyan hone tak

kya KHabar thi teri mahfil mein ye haalat hogi
tu uTha dega mujhe dard ayan hone tak

KHush-nasibi ye meri hai ki wo ghar aae hain
shama tu sath nibha waqt-e-azan hone tak

koi KHamosh sada dur bulati hai mujhe
kash main zinda rahun dard bayan hone tak

ek shoala hai mohabbat use shabnam na kaho
zinda rahti hai ye bad-baKHt dhuan hone tak

tum bhi 'ghazi' kabhi fursat mein ye socho to sahi
kyun taDapte ho har ek shab ke jawan hone tak