chitwan ki kahun ki ishaaraat ki garmi
hai nam-e-KHuda us mein har ek baat ki garmi
rone se mere us ko araq aa gaya yaro
sach hai ki buri hoti hai barsat ki garmi
Tuk phul chhua tha so nazakat se kai bar
rah rah ke dikhai mujhe gul-hat ki garmi
khulwate hi bundon ke badan garm ho aaya
shayad ki lagi us ko mere hat ki garmi
jalta hun main aur shoale nahin dete dikhai
hai ishq mein yaro ye tilismat ki garmi
rahna hai koi din to samajh jaiyo ai dil
yan phir wahi Thahri hai mulaqat ki garmi
garmi thi kahin aah hum afsurda-dilon mein
saqi ki faqat hai ye inayat ki garmi
aate hi jo tum mere gale lag gae wallah
us waqt to is garmi ne sab mat ki garmi
kahta hai wo jis dam ki chalo hum se na bolo
is baat mein hai aur hi ek baat ki garmi
sab poch hai zahir ki ye shoKHi-o-shararat
mashuq mein jab tak ki na ho zat ki garmi
tum ghussa ho ya qahr ho aatish ho ghazab ho
ab hum ne ye sab dil pe musawat ki garmi
ya-hazrat-e-dil tum to baDe sahib-e-dil the
rakhte the bahut apne kamalat ki garmi
ek hi nigah-e-garm se bas ho gae tum sard
ab kahiye kahan hai wo karamat ki garmi
yun garmi-e-sohbat to bahut hogi 'nazir' aah
par yar na bhulegi mujhe raat ki garmi
Ghazal
Chitwan ki kahun ki ishaaraat ki garmi
Nazeer Akbarabadi