chhoTe chhoTe kai be-faiz mafadat ke sath
log zinda hain ajab surat-e-haalat ke sath
faisla ye to bahar-haal tujhe karna hai
zehn ke sath sulagna hai ki jazbaat ke sath
guftugu der se jari hai natije ke baghair
ek nai baat nikal aati hai har baat ke sath
ab ke ye soch ke tum zaKHm-e-judai dena
dil bhi bujh jaega Dhalti hui is raat ke sath
tum wahi ho ki jo pahle the meri nazron mein
kya izafa hua in atlas o banat ke sath
itna paspa na ho diwar se lag jaega
itne samjhaute na kar surat-e-haalat ke sath
bhejta rahta hai gum-nam KHaton mein kuchh phul
is qadar kis ko mohabbat hai meri zat ke sath
Ghazal
ChhoTe chhoTe kai be-faiz mafadat ke sath
Aitbar Sajid