chheDo to us hasin ko chheDo jo yar ho
aisi KHata karo jo adab mein shumar ho
baiThi hai tohmaton mein wafa yun ghiri hui
jaise kisi hasin ki gardan mein bar ho
din raat mujh pe karte ho kitne hasin zulm
bilkul meri pasand ke muKHtar-e-kar ho
kitne uruj par bhi ho mausam bahaar ka
hai phul sirf wo jo sar-e-zulf-e-yar ho
ek sachcha pyar hi nahin bas yar ai 'adam'
jaan war do agar koi jhuTa bhi yar ho
Ghazal
ChheDo to us hasin ko chheDo jo yar ho
Abdul Hamid Adam