chehre pe KHushi chha jati hai aankhon mein surur aa jata hai
jab tum mujhe apna kahte ho apne pe ghurur aa jata hai
tum husn ki KHud ek duniya ho shayad ye tumhein malum nahin
mahfil mein tumhaare aane se har chiz pe nur aa jata hai
hum pas se tum ko kya dekhen tum jab bhi muqabil hote ho
betab nigahon ke aage parda sa zarur aa jata hai
jab tum se mohabbat ki hum ne tab ja ke kahin ye raaz khula
marne ka saliqa aate hi jine ka shuur aa jata hai
Ghazal
Chehre pe KHushi chha jati hai aankhon mein surur aa jata hai
Sahir Ludhianvi