chashm-e-mast-e-saqi se dil hua KHarab-abaad
mai-kada hai aur masti ab to harche baada-baad
mil-mila ke donon ne dil ko kar diya barbaad
husn ne kiya be-KHud ishq ne kiya aazad
mera TuTa-phuTa dil ban gaya watan us ka
be-watan tha aawara ishq-e-KHanuma-barbaad
masti-e-ana laila kar-e-ishq-e-majnun hai
kaif-e-wasl-e-shirin hai naqsh-e-tesha-e-farhad
jism-o-jaan ka ilhaq wajh-e-ranj-o-rahat hai
band-e-shadi-o-gham se jaan-e-pak hai aazad
shauq aur tanaffur mein raaz us ka pinhan hai
hai koi agar dil-gir hai agar koi dil-shad
ghaflat aur nadani wajh-e-shauq-o-nafrat hai
hai jo ain-e-irfan mein be-sabaat-o-be-buniyaad
band-e-ranj-o-rahat se fikr-e-shauq-o-nafrat se
qaid-e-jehl-o-ghaflat se KHud-shanas hai aazad
jalwa us ka ai 'sahir' chashm-e-pak-bin se dekh
husn-e-la-yazli se shash-jahat hain aabaad

Ghazal
Chashm-e-mast-e-saqi se dil hua KHarab-abaad
Sahir dehlavi