chashm-e-mai-gun wahan sharab laziz
dil-e-sozan yahan kabab laziz
lab-e-shirin ke bose pae hain
hum ne dekha hai aaj KHwab laziz
dahan-e-zaKHm honTh chaTte hain
us ki talwar mein hai aab laziz
kahan talKHi kahan ye miTha-pan
is araq se hai kab gulab laziz
us ke seb-e-zaqan ke aashiq hain
hoga mahshar ke din hisab laziz
miThi baaton mein wasl ka inkar
hai nae tarah ka jawab laziz
kaise shane ke dant paDte hain
hai jo wo zulf mushk-e-nab laziz
turshiyan kis maze maze ki hain
hai hamein yar ka shabab laziz
mar na jae sanam mariz-e-hijr
sharbat-e-wasl de shitab laziz
ho sakega na wasf-e-seb-e-zaqan
ai 'saKHi' hai ye be-hisab laziz
Ghazal
Chashm-e-mai-gun wahan sharab laziz
Sakhi Lakhnvi