chashm-e-KHush-ab ki tamsil nahin ho sakti
aisi shaffaf koi jhil nahin ho sakti
meri fitrat hi mein shamil hai mohabbat karna
aur fitrat kabhi tabdil nahin ho sakti
us ke dil mein mujhe ek jot jagana paDegi
KHud hi raushan koi qindil nahin ho sakti
sikka-e-dagh o zar-e-gham se bhara hai mera dil
dekh KHali meri zambil nahin ho sakti
is liye shiddat-e-sadmat mein ro deta hun
mujh se jazbaat ki tashkil nahin ho sakti
dukh to ye hai, wo mere dukh ko samajhta hi nahin
us tak ehsas ki tarsil nahin ho sakti
chhoD aaya hun tera daftar-e-darbar-numa
ab tere hukm ki tamil nahin ho sakti
is kasafat ki latafat se bhala kya nisbat?
tirgi nur mein tahlil nahin ho sakti
lazmi to nahin 'sahir'! wo mujhe mil jae
yani har KHwab ki takmil nahin ho sakti

Ghazal
Chashm-e-KHush-ab ki tamsil nahin ho sakti
Parvez Sahir