charagh-e-KHana-e-dil ko supurd-e-baad kar dun
ye qaidi bhi kisi ke nam par aazad kar dun
bahut hum se gurezan ye zamin o aasman hain
ijazat ho to ek duniya nai aabaad kar dun
jidhar niklun sawad-e-hijr hi ka samna hai
koi surat yahan bhi wasl ki ijad kar dun
mere mayus rahne par agar wo shadman hai
to kyun KHud ko main us ke waste barbaad kar dun
bahut chehre nigahon mein ubharte Dubte hain
agar kuchh der ko raushan charagh-e-yaad kar dun
bahut din se musir is baat par wo mehrban hai
ki main dil ko rahin-e-sohbat-e-na-shad kar dun
Ghazal
Charagh-e-KHana-e-dil ko supurd-e-baad kar dun
Ghulam Husain Sajid