chand lamhon ke liye ek mulaqat rahi
phir na wo tu na wo main aur na wo raat rahi
kurra-e-arz ne dekha hi na tha wo KHurshid
jis ki gardish mein shab o roz meri zat rahi
ab to har shaKHs ujalon mein khaDa hai uryan
kaun si shakl pas-e-parda-e-zulmat rahi
sard-mehri mere lahje mein bhi hogi lekin
tujh mein KHud bhi to na pahli si koi baat rahi
haal-e-dil us ko suna kar hai bahut KHush 'kausar'
lekin ab soch zara kya teri auqat rahi
Ghazal
Chand lamhon ke liye ek mulaqat rahi
Kausar Niyazi