اردو हिंदी
Chand ghanTe shor o ghul ki zindagi chaaron taraf | Shaahi Shayari
chand ghanTe shor o ghul ki zindagi chaaron taraf

Ghazal

Chand ghanTe shor o ghul ki zindagi chaaron taraf

Yaqoob Aamir

;

chand ghanTe shor o ghul ki zindagi chaaron taraf
aur phir tanhai ki ham-saegi chaaron taraf

ghar mein sari raat be-awaz hangama na puchh
main akela nind ghaeb barhami chaaron taraf

dekhne nikla hun apna shahr jangal ki tarah
dur tak phaila hua hai aadmi chaaron taraf

mere darwaze pe ab taKHti hai mere nam ki
ab na bhaTkegi meri aawargi chaaron taraf

mere ghar mein hi raha ta-umr mera waqia
apni apni warna arz-e-waqai chaaron taraf

chandni raaton ki basti mein hun main sahma hua
KHauf se lipTi hui hai raushni chaaron taraf

hai koi chehra shanasa DhunDta hun bhiD mein
itni raunaq mein bhi ek be-raunaqi chaaron taraf

pahle meri baat hans kar Tal bhi dete the wo
lekin ab tasdiq meri baat ki chaaron taraf

bazm mein yun to sabhi the phir bhi 'amir' der tak
tere jaane se rahi ek KHamushi chaaron taraf