chamka jo tirgi mein ujala bikhar gaya
nanha sa ek jugnu baDa kaam kar gaya
wo nind ke safar mein to maKHmur tha bahut
aankhen khulin to KHwab ke manzar se Dar gaya
aansu the is qadar meri chashm-e-malal mein
har gosha gosha shahr ka ashkon se bhar gaya
phaili hui hai chandni ehsas mein mere
ye kaun meri zat ke andar utar gaya
har shaKHs hi kamanden 'zafar' phenkne laga
ek pal ke waste jo KHala mein Thahar gaya
Ghazal
Chamka jo tirgi mein ujala bikhar gaya
zafar iqbal zafar