chaman mein gul ne jo kal dawa-e-jamal kiya
jamal-e-yar ne munh us ka KHub lal kiya
falak ne aah teri rah mein hum ko paida kar
ba-rang-e-sabza-e-nurasta paemal kiya
rahi thi dam ki kashakash gale mein kuchh baqi
so us ki tegh ne jhagDa hi infisal kiya
meri ab aankhen nahin khultin zof se hamdam
na kah ki nind mein hai tu ye kya KHayal kiya
bahaar-e-rafta phir aai tere tamashe ko
chaman ko yumn-e-qadam ne tere nihaal kiya
jawab-nama siyahi ka apni hai wo zulf
kisu ne hashr ko hum se agar sawal kiya
laga na dil ko kahin kya suna nahin tu ne
jo kuchh ki 'mir' ka is aashiqi ne haal kiya
Ghazal
Chaman mein gul ne jo kal dawa-e-jamal kiya
Mir Taqi Mir