chalo ki hum bhi zamane ke sath chalte hain
nahin badalta zamana to hum badalte hain
kisi ko qadr nahin hai hamari qadron ki
chalo ki aaj ye qadren sabhi badalte hain
bula rahi hain hamein talKHiyan haqiqat ki
KHayal-o-KHwab ki duniya se ab nikalte hain
bujhi hai aag kabhi peT ki usulon se
ye un se puchhiye jo gardishon mein palte hain
unhen na toliye tahzib ke taraazu mein
gharon mein un ke na chulhe na dip jalte hain
zara si aas bhi tabir ki nahin jin ko
dilon mein KHwab wo kya soch kar machalte hain
hamein na ras zamane ki mahfilen aai
chalo ki chhoD ke ab is jahan ko chalte hain
mizaj tere ghamon ka 'sada' nirala hai
kabhi ghazal to kabhi git ban ke Dhalte hain
Ghazal
Chalo ki hum bhi zamane ke sath chalte hain
Sada Ambalvi