chale chalo jahan le jae walwala dil ka
dalil-e-rah-e-mohabbat hai faisla dil ka
hawa-e-kucha-e-qatil se bas nahin chalta
kashan-kashan liye jata hai walwala dil ka
gila kise hai ki qatil ne nim-jaan chhoDa
taDap taDap ke nikalunga hausla dil ka
KHuda bachae ki nazuk hai un mein ek se ek
tunak-mizajon se Thahra moamla dil ka
dikha raha hai ye donon jahan ki kaifiyat
karega saghar-e-jam kya muqabla dil ka
hawa se wadi-e-wahshat mein baaten karte ho
bhala yahan koi sunta bhi hai gila dil ka
qayamat aai khula raaz-e-ishq ka daftar
baDa ghazab hua phuTa hai aabla dil ka
kisi ke ho raho achchhi nahin ye aazadi
kisi ki zulf se lazim hai silsila dil ka
pyala KHali uTha kar laga liya munh se
ki 'yas' kuchh to nikal jae hausla dil ka
Ghazal
Chale chalo jahan le jae walwala dil ka
Yagana Changezi