اردو हिंदी
Chain duniya mein zamin se ta-falak dam bhar nahin | Shaahi Shayari
chain duniya mein zamin se ta-falak dam bhar nahin

Ghazal

Chain duniya mein zamin se ta-falak dam bhar nahin

Imam Bakhsh Nasikh

;

chain duniya mein zamin se ta-falak dam bhar nahin
dagh hain ye gul nahin nasur hain aKHtar nahin

sar rahe ya jae kuchh hum mai-kashon ko Dar nahin
kaun sa mina-e-mai ai mohtasib be-sar nahin

wo but-e-shirin-ada karta hai mujh ko sangsar
ye shakar-pare baraste hain junun patthar nahin

ho raha hai ek aalam tere abru par nisar
kaun gardan hai jahan mein jo tah-e-KHanjar nahin

dam nikalne par jo aata hai nahin rukta hai phir
dekh lo qasr-e-habab ai ahl-e-ghaflat dar nahin

aadmi to kya wo kahta hai nishan-e-pa se bhi
kyun paDa hai mere kuche mein tera kya ghar nahin

ai tasawwur kyun buton ko jama karta hai yahan
dil mera kaba hai kuchh but-KHana-e-azar nahin

shikwa jo be-naukri ka karte hain nadan hain
aap aaqa hai kisi ka jo koi naukar nahin

hai KHarabaat-e-jahan mein bhi wo saqi se nufur
jo ki ai 'nasiKH' ghulam-e-saqi-e-kausar nahin