chaaron taraf hain KHar-o-KHas dasht mein ghar hai bagh sa
choTi pe kohsar ki jalta hai kya charagh sa
aab-e-rawan ki gunj se shorish-e-KHak-o-baad tak
main hi hun naqsh-e-jawedan main hi adam-suragh sa
subh bhi resha resha hai sham bhi hai rafu-talab
sina-e-mahtab bhi warna hai dil-e-dagh sa
bahs hui na tabsira shor uTha na chup lagi
dil ki bisat thi hi kya TuT gaya ayagh sa
sher kaho to chup rahe kuchh na kaho to chaunk uThe
shahr mein ek 'zubair' hai shair-e-kam-dimagh sa
Ghazal
Chaaron taraf hain Khaar-o-KHas dasht mein ghar hai bagh sa
Zubair Shifai