اردو हिंदी
Chand ko pura hone do | Shaahi Shayari
chand ko pura hone do

Ghazal

Chand ko pura hone do

Nazeer Qaisar

;

chand ko pura hone do
bahti nadi ko sone do

sham ki tarah udasi ko
aur bhi gahra hone do

kisi diye ke sae mein
aasman ko sone do

sapna agar ugana hai
jagti aankhen bone do

aao lipaT ke so jaen
jo hota hai hone do

ujle tan ki lahron mein
raat ke rang samone do

umr ki sada Dori mein
sare phul pirone do

patthar hota jata hun
hansne do ya rone do

tum mein jag raha hun main
mujh ko KHud mein sone do