chahaton ka silsila hai mustaqil
sabz mausam karb ka hai mustaqil
kya bataun dil mein kis ki yaad ka
ek kanTa chubh raha hai mustaqil
baDh raha hai mustaqil qaht-e-shajar
zahr-aluda faza hai mustaqil
rah-e-ulfat mein kahan aasaniyan
pur-KHatar ye rasta hai mustaqil
aa gai hai fasl-e-azadi magar
KHauf ka pauda hara hai mustaqil
dushmani ke sab dariche band hain
dosti ka dar khula hai mustaqil
ishq ke ek TimTimate dip ne
dil ko raushan kar rakha hai mustaqil
ek mausam ki kasak hai dil mein dafn
miTha miTha dard sa hai mustaqil
zehn o dil ki wadi-e-pur-amn mein
gunjti kis ki sada hai mustaqil
dekh kar rasm-e-wafa is daur ki
sharmgin harf-e-wafa hai mustaqil
gham kisi ka ho gaya 'raghib' nasib
warna is duniya mein kya hai mustaqil
Ghazal
Chahaton ka silsila hai mustaqil
Iftikhar Raghib