chahat meri chahat hi nahin aap ke nazdik 
kuchh meri haqiqat hi nahin aap ke nazdik 
kuchh qadr to karte mere izhaar wafa ki 
shayad ye mohabbat hi nahin aap ke nazdik 
yun ghair se bebak ishaare sar-e-mahfil 
kya ye meri zillat hi nahin aap ke nazdik 
ushshaq pe kuchh had bhi muqarrar hai sitam ki 
ya us ki nihayat hi nahin aap ke nazdik 
agli si na raaten hain na ghaten hain na baaten 
kya ab main wo 'hasrat' hi nahin aap ke nazdik
 
        Ghazal
Chahat meri chahat hi nahin aap ke nazdik
Hasrat Mohani

