buton ka zikr karo waiz KHuda ko kis ne dekha hai
sharar-e-sang-e-musa ke liye barq-e-tajalla hai
ye hindostan hai yan parbaton ka rose mela hai
KHuda jaane wo but ai 'mehr' debi hai ki durga hai
ye hindostan hai yan parbaton ka rose mela hai
koi kali-bhawani koi debi koi durga hai
butan-e-hind mein nam-e-KHuda kab koi tujh sa hai
teri zulfen hain kali ai sanam tu aap durga hai
dil-e-nalan tumhaare halqa-e-gesu mein kahta hai
main hindostan mein hun kafiron ne mujh ko ghera hai
ye kis kafir ki KHatir 'mehr' chakkar mein tu rahta hai
ye kis ke waste gardish falak ke charKH puja hai
siyah rumal gori gori gardan mein lapeTa hai
gale milwa diya sham-e-sahar ko kya tamasha hai
gala wo gora gora us pe ek rumal kala hai
wahi aalam meri aankhon mein ab din-raat phirta hai
tasawwur us sanam ka hai hamein kabe se kya matlab
charagh apna hai dagh-e-dil hai jo mandir mein jalta hai
kiya hai KHun mere dil ka balidan is ko kahte hain
gham-e-furqat wo kafir hai ki durga paTh karta hai
juda hai nemat-e-duniya se lazzat bosa-e-lab ki
wo jogi ho gaya jis ne ye mohan-bhog chakkha hai
shararat se shararat hai buto lillah baz aao
jalate ho jo mere dil ko tum kya ye bhi lanka hai
halal us ne kiya KHun-e-musalman wae bedardi
tera dast-e-hinai kafir ab ye rang laya hai
hamesha hai ye nalan us sanam ki yaad mein yarab
jase hum dil samajhte the wo naqus-e-kalisa hai
baDa andher hai kyunkar na ho dil ko pareshani
sarasar pech karti hai bala zulf-e-chalipa hai
ajab aalam nazar aaya tere kucha mein o qatil
kahin koi sisakta hai kahin koi taDapta hai
kahan wo qad kahan ye kunda-ha-e-na-tarashida
na sarw aisa hai ne shamshad aisa hai na tuba hai
bata jaez hai kis mazhab mein KHun-e-be-gunah zalim
tu hindu hai musalman hai yahudi hai ki tarsa hai
sune murda to ji uTThe badan mein ruh phir aae
gale mein ai sanam nam-e-KHuda kya tan palTa hai
KHuda aalam hai mazmun-e-KHayali hain tasawwur mein
na mujh ko kuchh talluq hai na meri us ko parwa hai
KHuda jaane kiya kis but ne kafir ek musalman ko
janew hai gale mein 'mehr' ke mathe pe Tika hai
kiya kafir ne kafir 'mehr' se mard-e-musalman ko
janew rishta-e-tasbih dagh-e-sajda Tika hai
Ghazal
Buton ka zikr karo waiz KHuda ko kis ne dekha hai
Hatim Ali Mehr