butan-e-mah-wash ujDi hui manzil mein rahte hain
ki jis ki jaan jati hai usi ke dil mein rahte hain
hazaron dagh pinhan aashiqon ke dil mein rahte hain
sharar patthar ki surat un ki aab-o-gil mein rahte hain
zamin par panw nafrat se nahin rakhte pari-paikar
ye goya is makan ki dusri manzil mein rahte hain
mohabbat mein maza hai chheD ka lekin maze ki ho
hazaron lutf har ek shikwa-e-baatil mein rahte hain
KHuda rakkhe salamat jin ko un ko maut kab aae
taDapte loTte hum kucha-e-qatil mein rahte hain
hazaron hasraten wo hain ki roke se nahin ruktin
bahut arman aise hain ki dil ke dil mein rahte hain
yahan tak thak gae hain chalte chalte tere hathon se
ki ab chhup chhup ke nawak sina-e-bismil mein rahte hain
na dekhe honge rindon se bhi tu ne pak ai zahid
ki ye be-dagh mai-KHane ki aab-o-gil mein rahte hain
muhit-e-ishq ki har mauj tufan-KHez aisi hai
wo hain girdab mein jo daman-e-sahil mein rahte hain
KHuda rakkhe mohabbat ne kiye aabaad donon ghar
main un ke dil mein rahta hun wo mere dil mein rahte hain
jo hoti KHub-surat to na chhupti qais se laila
magar aise hi waise parda-e-mahmil mein rahte hain
hamare sae se bachta hai har ek bazm mein us ki
hamein dekho ki hum tanha bhari mahfil mein rahte hain
suragh-e-mehr-o-ulfat ghair ke dil mein na paenge
abas wo raat din is sai-e-be-hasil mein rahte hain
buton ko mahram-e-asrar tu ne kyun kiya ya rab
ki ye kafir har ek KHalwat-sara-e-dil mein rahte hain
falak dushman hua gardish-zadon ko jab mili rahat
ziyaada rah se khaTke mujhe manzil mein rahte hain
tan-asani kahan taqdir mein hum dil-girafton ki
KHuda par KHub raushan hai ki jis mushkil mein rahte hain
Ghazal
Butan-e-mah-wash ujDi hui manzil mein rahte hain
Dagh Dehlvi