bujhi hai aatish-e-rang-e-bahaar aahista aahista
gire hain shola-e-gul se sharar aahista aahista
wo ek qatra ki barg-e-dil pe shabnam sa larazta tha
hua hai bahr-e-na-paida-kanar aahista aahista
kabhi shor-e-qayamat gosh-e-inshan tak bhi pahunchega
koi sayyara badlega madar aahista aahista
uDa hai rafta rafta rang taswir-e-mohabbat ka
hui hai rasm-e-ulfat be-wiqar aahista aahista
sarab-e-arzu mein phir koi manzar bhi chamkega
uThegi dasht se mauj-e-ghubar aahista aahista
bahut din tak salasil ki sada aai hai zindan se
mila hai be-qararon ko qarar aahista aahista
wo sab arbab-e-jazb-o-shauq jin par naz tha hum ko
hue hain hosh-mandi ke shikar aahista aahista
kabhi malhuz hum ko bhi suKHan mein rabt-e-mani tha
hua hai zahr-e-gham aashufta-kar aahista aahista
kahin yaro tumhein phir gahri yasiyyat na chhu jae
raho rah-e-talab mein mahw-e-kar aahista aahista
Ghazal
Bujhi hai aatish-e-rang-e-bahaar aahista aahista
Aslam Ansari