اردو हिंदी
Bujhe charagh jalane mein der lagti hai | Shaahi Shayari
bujhe charagh jalane mein der lagti hai

Ghazal

Bujhe charagh jalane mein der lagti hai

Sardar Soz

;

bujhe charagh jalane mein der lagti hai
nasib apna banane mein der lagti hai

watan se dur musafir chale to jate hain
watan ko lauT ke aane mein der lagti hai

talluqat to ek pal mein TuT jate hain
kisi ko dil se bhulane mein der lagti hai

bikhar to jate hain pal-bhar mein dil ke sab TukDe
magar ye TukDe uThane mein der lagti hai

ye un ki yaad ki KHushbu bhi kaisi hai KHushbu
chali to aati hai jaane mein der lagti hai

wo zid bhi sath mein late hain jaane jaane ki
ye aur baat ki aane mein der lagti hai

ye ghonsle hain parindon ke un ko mat toDo
unhen dobara banane mein der lagti hai

wo daur-e-ishq ki rangin hasin yaadon ke
nuqush dil se miTane mein der lagti hai

ye dagh-e-tark-e-marasim na dijiye hum ko
jigar ke dagh miTane mein der lagti hai

KHabar bhi hai tujhe dil ko ujaDne wale
dilon ki basti basane mein der lagti hai

tumhein qasam hai bujhao na pyar ki shamen
unhen bujha ke jalane mein der lagti hai

bhulaun kaise achanak kisi ka kho jaana
ye hadsat bhulane mein der lagti hai

zara si baat pe hum se jo ruTh jate hain
unhen to 'soz' manane mein der lagti hai