bosa zulf-e-dota ka do
ruhon balaen sadqa do
radd-o-badal kya bosa do
leta ek na deta do
zulf-e-siyah ke mujrim hain
kale pani bhijwa do
ye jaenge misl-e-habab
chhuTne dil ka chhaala do
mushrik kya ho wahdat mein
ek ko dekhe jhaTka do
ghar mein bula ke qatl karo
darwaze mein tegha do
hum pe khula hai raaz-e-kamar
aur kisi ko dhoka do
chahiye hum ko ghusl-o-kafan
kapDe badlen nahla do
gul kha kha kar di hai jaan
qabr mein meri chhalla do
turbat-e-waiz tak chalo 'shad'
jhuTe ko had tak pahuncha do
Ghazal
Bosa zulf-e-dota ka do
Shad Lakhnavi