biTha ke dil mein giraya gaya nazar se mujhe
dikhaya turfa-tamasha bala ke ghar se mujhe
nazar jhuka ke uThai thi jaise pahli bar
phir ek bar to dekho usi nazar se mujhe
hamesha bach ke chala hun main aam rahon se
haTa saka na koi meri rahguzar se mujhe
hayat jis ki amanat hai saunp dun us ko
utarna hai ye qarza bhi apne sar se mujhe
subu na jam na mina se mai pila be-shak
pilae ja mere saqi yunhi nazar se mujhe
jo baat hoti hai dil mein wo kah guzarta hun
nahin hai koi gharaz ahl-e-KHair-o-shar se mujhe
na dair se na haram se na mai-kade se mila
sukun-e-ruh mila hai jo tere dar se mujhe
kisi ki rah-e-mohabbat mein baDhta jata hun
na rahzan se gharaz hai na rahbar se mujhe
zara to soch hiqarat se dekhne wale
zamana dekh raha hai teri nazar se mujhe
zamana meri nazar se to gir gaya lekin
gira saka na zamana teri nazar se mujhe
ye rang-o-nur ka 'gulzar' dahr-e-fani hai
yahi payam mila umr-e-muKHtasar se mujhe
Ghazal
BiTha ke dil mein giraya gaya nazar se mujhe
Gulzar Dehlvi