اردو हिंदी
Bil-ehtimam zulm ki tajdid ki gai | Shaahi Shayari
bil-ehtimam zulm ki tajdid ki gai

Ghazal

Bil-ehtimam zulm ki tajdid ki gai

Iqbal Azeem

;

bil-ehtimam zulm ki tajdid ki gai
aur hum ko sabr-o-zabt ki takid ki gai

awwal to bolne ki ijazat na thi hamein
aur hum ne kuchh kaha bhi to tardid ki gai

anjam-kar baat shikayat par ruki
pursish agarche az-rah-e-tamhid ki gai

tajdid-e-iltifat ki tajwiz rad hui
tark-e-talluqat ki taid ki gai

jine ka koi ek sahaara to chahiye
Dar Dar ke ki gai magar ummid ki gai

ghar ke charagh aur bhi be-nur ho gae
is darja KHatir-e-mah-o-KHurshid ki gai