bhari hai dil mein jo hasrat kahun to kis se kahun
sune hai kaun musibat kahun to kis se kahun
jo tu ho saf to kuchh main bhi saf tujh se kahun
tere hai dil mein kudurat kahun to kis se kahun
na kohkan hai na majnun ki the mere hamdard
main apna dard-e-mohabbat kahun to kis se kahun
dil us ko aap diya aap hi pashiman hun
ki sach hai apni nadamat kahun to kis se kahun
kahun main jis se use howe sunte hi wahshat
phir apna qissa-e-wahshat kahun to kis se kahun
raha hai tu hi to gham-KHwar ai dil-e-gham-ghin
tere siwa gham-e-furqat kahun to kis se kahun
jo dost ho to kahun tujh se dosti ki baat
tujhe to mujh se adawat kahun to kis se kahun
na mujh ko kahne ki taqat kahun to kya ahwal
na us ko sunne ki fursat kahun to kis se kahun
kisi ko dekhta itna nahin haqiqat mein
'zafar' main apni haqiqat kahun to kis se kahun
Ghazal
Bhari hai dil mein jo hasrat kahun to kis se kahun
Bahadur Shah Zafar