bhala ho pir-e-mughan ka idhar nigah mile
faqir hain koi chullu KHuda ki rah mile
kahan the raat ko hum se zara nigah mile
talash mein ho ki jhuTa koi gawah mile
qarib-e-mai-kada mujh ko jo KHanqah mile
gale sawab ke kya kya mere gunah mile
wo roz-e-hashr hai duniya nahin ki rah mile
kahan chhupoge jo do chaar dad-KHwah mile
meri KHarabi mein aa kar wo chaukDi bhule
ki phir na KHana-KHarabi ko ghar ki rah mile
tera dil aae kisi par to arsh hil jae
asar talash mein hai is tarah ki aah mile
tumhaare kuche mein har roz wo qayamat hai
ki saya DhunD raha hai kahin panah mile
tera ghurur samaya hai is qadar dil mein
nigah bhi na milaun jo baadshah mile
sar-barahna majnun pe aashiyan hai taj
na rakkhe sar pe jo faghfur ki kulah mile
falak ki tarah jafaen na kijiye har roz
isi qadar hai ye neamat jo gah gah mile
tumhaare husn se kya rutba mah-e-kanan ko
wahi to chand jise Dubne ko chah mile
sab ahl-e-hashr jab apne kiye ko paenge
baDa maza ho jo mujh ko mera gunah mile
karun main arz agar jaan ki aman paun
kahun pate ki agar qahr se panah mile
ye hai maze ki laDai ye hai maze ka milap
ki tujh se aankh laDi aur phir nigah mile
hua hai dard-e-jigar se ye ghar mera tarik
ki maut DhunDti phirti hai koi rah mile
na us ko sabr na tasir ka pata ya rab
jala diya hai mujhe KHak mein ye aah mile
bala se dawa-e-ulfat na pesh karte hum
mile hue hain jo dushman se wo gawah mile
Thahar na aah meri jaan le ke chalte ho
safar kare jo musafir ko zad-e-rah mile
masal suni hai ki milne se koi milta hai
milo to aankh mile dil mile nigah mile
qamar ko jama-e-shab to basar ko parda-e-chashm
kai libas tere nur ko siyah mile
asar kahan se mile jab ye phuT ho baham
alag alag rahe donon na harf-e-ah mile
laga ke panw mein us ke uDaun qasid ko
agar mujhe tere tausan ki gard-e-rah mile
is inqalab mein DhunDo jo mushk aur kafur
to ye safed mile aur wo siyah mile
nawed-e-baKHshish-e-isyan use suna dena
jo sharmsar kahin 'dagh'-e-ru-siyah mile
Ghazal
Bhala ho pir-e-mughan ka idhar nigah mile
Dagh Dehlvi