bebasi aisi bhi hoti hai bhala
zindagi aisi bhi hoti hai bhala
raushni ab mere ashkon se hai bas
tirgi aisi bhi hoti hai bhala
hanste hanste ho gaya barbaad main
KHush-dili aisi bhi hoti hai bhala
chiKHta rahta hun aksar be-sabab
bekasi aisi bhi hoti hai bhala
ji raha hun main use dekhe baghair
be-hisi aisi bhi hoti hai bhala
puchhte ho aib auron se mere
dosti aisi bhi hoti hai bhala
zindagi aisi hi hoti hai bhai
zindagi aisi bhi hoti hai bhala
rang hi chehre pe lahraate hain ab
jaan-kani aisi bhi hoti hai bhala
hain lahu ki bunden ab meri sipah
sar-kashi aisi bhi hoti hai bhala
ek hi surat yahan chaaron taraf
raushni aisi bhi hoti hai bhala
gal jhulse ja rahe hain kyun mere
chandni aisi bhi hoti hai bhala
Ghazal
Bebasi aisi bhi hoti hai bhala
Ahmad Ata