be-yaqini ka har ek samt asar jagta hai
aisi wahshat hai ki diwar mein dar jagta hai
sham ko khulte hain dar aur kisi duniya ke
raat ko fikr ka be-ant safar jagta hai
jis ko chahen ye use apna bana sakti hain
teri aaankhon ke samundar mein hunar jagta hai
ho na jae kahin mismar ye is barish mein
ghar ki buniyaad mein KHamosh khanDar jagta hai
ek naya hausla deti hai shikasta-pai
panw zaKHmi hon to phir azm-e-safar jagta hai
tujh ko darkar hai ek nind ki goli 'nasir'
jism sota hai tera zehn magar jagta hai
Ghazal
Be-yaqini ka har ek samt asar jagta hai
Nasir Aqeel