be-wafaon ko wafaon ka KHuda hum ne kaha
kya hamein kahna tha ai dil aur kya hum ne kaha
lab ko ghuncha zulf ko kali-ghaTa hum ne kaha
dil ne hum ko jo bhi kahne ko kaha hum ne kaha
kis qadar majbur honge us ghaDi hum ai KHuda
jab tere be-faiz bandon ko KHuda hum ne kaha
dad dena tum hamari chashm-poshi ki hamein
rah mein jo gum the un ko rahnuma hum ne kaha
jab mariz-e-ishq ko koi dawa aai na ras
dard hi ko dard ki aaKHir dawa hum ne kaha
gir gaya apni nigahon mein hi apna sab waqar
jab sar-e-bazar khoTe ko khara hum ne kaha

Ghazal
Be-wafaon ko wafaon ka KHuda humne kaha
Rajendra Nath Rahbar