be-talab kar ke zarurat bhi chali jae agar
Dar rahi hun ki ye wahshat bhi chali jae agar
sham hote hi sitaron se ye puchha aksar
sham hone ki ye surat bhi chali jae agar
ek tera dard saliqe se sambhaala lekin
dida-e-tar se tarawat bhi chali jae agar
ye to hai KHun-e-jigar chahiye lekin ai dil
sher kahne ki riayat bhi chali jae agar
main to hairan pareshan yahi sochti hun
aaina KHane se hairat bhi chali jae agar
ek nazar bhar ka hi sauda chalo manzur hamein
kam-nigahi ki ye mohlat bhi chali jae agar
wo gaya hai to mujhe kaam hi ab koi nahin
kya hi achchha ho ki fursat bhi chali jae agar
dil ke malbe mein tamanna ne ye hasrat se kaha
kya ho tamir ki hasrat bhi chali jae agar
teri furqat baDi dushwar magar aise mein
yaad karne ki suhulat bhi chali jae agar
ab nashat-e-gham-e-furqat se sawal itna hai
taziya-dari ki lazzat bhi chali jae agar

Ghazal
Be-talab kar ke zarurat bhi chali jae agar
Tasneem Abidi