be-niyaz dahr kar deta hai ishq 
be-zaron ko lal-o-zar deta hai ishq 
kam-nihad-o-be-sabaat insan mein 
jaane kya kya jama kar deta hai ishq 
kaun jaane us ki ulTi mantiqen 
TuTe hathon mein sipar deta hai ishq 
pahle kar deta hai sab aalam siyah 
aur phir apni KHabar deta hai ishq 
jaan dena khelte hanste hue 
qatl hone ka hunar deta hai ishq 
kaT giren aur phir bhi qaem hain safen 
kitne bazu kitne sar deta hai ishq 
sar-barahna hain ana gumbad jo the 
aandhiyon se sau ko bhar deta hai ishq 
dard-mandi par jo qaem hon unhen 
nur-afza chashm-e-tar deta hai ishq 
ek bojhal raat kaT jaane ke baad 
ek lamhe ko sahar deta hai ishq 
ye samajh tum ko bhi hogi sahibo 
dil ko kyun shoalon mein dhar deta hai ishq 
chal nikalne ka irada bandhiye 
dekhiye samt-e-safar deta hai ishq 
qadr hai jis ki KHiyam-e-hur mein 
aabru ka wo guhar deta hai ishq
        Ghazal
Be-niyaz dahr kar deta hai ishq
Abul Hasanat Haqqi

