اردو हिंदी
Be-karan samjha tha KHud ko kaise na-danon mein tha | Shaahi Shayari
be-karan samjha tha KHud ko kaise na-danon mein tha

Ghazal

Be-karan samjha tha KHud ko kaise na-danon mein tha

Siddique Mujibi

;

be-karan samjha tha KHud ko kaise na-danon mein tha
aasman bikhra to har-su shabnami danon mein tha

main ne jis zine pe rakkha pa to mujh ko Das gaya
jab bhi dana main ne phenka sanp ke KHanon mein tha

phir koi mauj-e-bala kaise mera sar le gai
ai KHuda mere KHuda tu bhi nigahbanon mein tha

ek lahu ki bund thi lekin kai aaankhon mein thi
ek harf-e-mo'tabar tha aur kai manon mein tha

sochte hain kis tarah is shahr mein jite rahe
aastin mein sanp the aur zahr paimanon mein tha

jaane kaisi thi 'mujibi' aag us ke lams ki
jism ka sona pighal kar sab meri ranon mein tha