be-gangi-e-tarz-e-sitam bhi bahana-saz
be-chaargi-e-karb-o-alam bhi bahana-saz
kuchh but bana liye hain chaTTanen tarash kar
dil bhi bahana-saz hai gham bhi bahana-saz
uzr-e-wafa ke sath jalate rahe charagh
khulta hai ab ki dida-e-nam bhi bahana-saz
pabandi-e-rusum-o-wafa bhi bahana-KHu
tark-e-wafa-o-shewa-e-ram bhi bahana-saz
har lamha-e-hayat ka tanha raha wajud
dildari-e-nigah-e-karam bhi bahana-saz
kuchh dur sath sath the itna to yaad hai
sahra-e-gham mein naqsh-e-qadam bhi bahana-saz
sab se baDa fareb hai KHud zindagi 'ada'
is hila-ju ke sath hain hum bhi bahana-saz

Ghazal
Be-gangi-e-tarz-e-sitam bhi bahana-saz
Ada Jafri